May 22, 2011

Long Drags

I live every moment like a long drag
watching the tip of time burn itself between my fingers
leaving behind ashes on the road of my life
that the winds of memory would wipe at its whim.

One day the cigarette would die
and I would crush the butt under my feet
and no more white smoke would light my way ahead.

That day I may not find my way back home.

Those Lines

Remember those lines on my palms?
The ones that said that I would travel the world
That money would always make my pockets bulge
That fame would walk with me like my shadow
That I would love and be loved back
Get married and have children
That I would be a poet who shall not die young?

Come, have a look at my hands again.
I think those lines are fading.

May 18, 2011

Nazm: Aarzoo-e-Saraab

आरज़ू-ए-सराब

ये ज़ीस्त आज उस मक़ाम पे ले आई है
जहा से मुझको साफ़-साफ़ दिख रहा है सब

मेरे ख़्वाबो की ताज़ा लाशें दिख रही है मुझे
लहू-लुहान ज़मीं पर है आरज़ू मेरी
धुंआ निकल रहा है शम्मे-तमन्ना से अब
हो चली शाम मेरी सोच के परिन्दों की
रात आई मेरे अरमाँ के क़ाफिलो पे अब
ख़मोश कश्तिया हसरत की खुद ही डूब गई

मेरे हर ऐब को ज़बान बख्शता है जो
मेरे माज़ी के ज़ख्मो को कुरेदता है जो
मेरी हर शै में देखता जो एक ख़ामी है
वो एक एहसास जो आईना-ए-नाकामी है
वही एहसास गला घोंट रहा है मेरा
ये कह रहा है के हासिल नहीं है कुछ तेरा

हक़ीक़तो ने दे दी बददुआ बीनाई की
दिखाई दे रहा है चार-सू रेगिस्ताँ वो
न छुपे साए है जिसमे है न कही नखलिस्ताँ
न कारवां गुज़र रहे न कोई गाँव करीब
कोई सराब भी नहीं के जिसके धोखे में
सफ़र ये चलता रहे और मुझे ख़बर न हो

जहा से मुझको साफ़-साफ़ दिख रहा है सब
ये ज़ीस्त आज उस मक़ाम पे ले आई है


Aarzoo-e-Saraab


Ye zeest aaj uss maqaam pe le aayi hai
Jahaa se mujhko saaf-saaf dikh raha hai sab

Mere khwaabo ki taaza laashe dikh rahi hai mujhe
Lahoo-luhaan zamee par hai aarzoo meri
Dhuaan nikal raha hai shamme-tamanna se ab
Ho chali sham meri soch ke parindo ki
Raat aayi mere armaa ke qaafilo pe ab
Khamosh kashtiya hasrat ki khud hi doob gayi

Mere har aib ko zabaan bakhshta hai jo
Mere maazi ke zakhmo ko kuredta hai ho
Meri har shai mein dekhta jo ek khaami hai
Wo ek ehsaas jo aaeena-e-naakaami hai
Wahi ehsaas galaa ghont raha hai mera
Ye kah raha hai ke haasil nahi hai kuch tera

Haqeeqato ne de di baddua beenaai ki
Dikhaayi de raha hai chaar-soo registaa’n wo
Na chhupe saaye hai jisme hai na kahi nakhlistaa’n
Na kaarwaa’n guzar rahe na koi gaav kareeb
Koi saraab bhi nahi ke jiske dhokhe mein
Safar ye chalta rahe aur mujhe khabar na ho

Jahaa se mujhko saaf-saaf dikh raha hai sab
Ye zeest aaj uss maqaam pe le aayi hai

May 3, 2011

Nazm: Mauka

मौक़ा

रिश्तेदार आएँगे और जाएँगे
दोस्त कुछ फूल भी चढ़ाएंगे
उठा के देखेगा कफ़न कोई
दफ़्न कर देगा आदतन कोई
जिस्म ताबूत में सो जाएगा
खाक़ है खाक़ में खो जाएगा
लोग तस्वीरे भी छुपा देंगे
मेरे अफ़कार भी जला देंगे
रफ़्ता-रफ़्ता मुझे भुला देंगे
और अपनी दबी आवाज़ों में
अपने यारो से कहे राज़ो में
मुझे नाकाम भी ठहरा देंगे
सिफ़र-अंजाम भी ठहरा देंगे

आज रो ले के मैं ज़िंदा हूँ अभी
मौत पर कौन आ के रोएगा


Mauka


Rishtedaar aaenge aur jaenge
Dost kuch phool bhi chadhaaenge
Utha ke dekhega kafan koi
Dafn kar dega aadatan koi
Jism taaboot mein so jaega
Khaaq hai khaaq mein kho jaega
Log tasveere bhi chhupa denge
Mere afkaar bhi jala denge
Rafta rafta mujhe bhula denge
aur apni dabi aawaazo mein
Apne yaaro se kahe raazo mein
Mujhe naakaam bhi thahra denge
Sifar-anjaam bhi thahra denge

Aaj ro le ke main zinda hoon abhi
Maut par kaun aa ke roega