जवाबे-बेवफ़ा
मैं मानती हूँ तुझे मुड के न देखा लेकिन
शबे-हिज्राँ कोई आसान नहीं थी मुझपर
दबे-दबे से क़दम मेरी बुज़दिली न थे
रिवायतो की इक चटान रखी थी मुझपर
मेरी उदास हँसी मेरी ग़मज़दा आँखें
मेरे चेहरे पे सजे थे किसी सज़ा जैसे
मेरे हाथों की मेहँदी की सुर्खिया थी अज़ाब
मेरे हाथों में तेरा खून लगा हो जैसे
जब भी सजता था मेरा घर मैं सहम जाती थी
मेरे उजड़े हुए इस दिल को कोई देख न ले
छुपाए फिरती थी घूंघट में चश्म-ए-तर अपने
के इनमे डूबते साहिल को कोई देख न ले
मैंने आख़िर उसे हासिल-ए-मुक़द्दर समझा
वो हादसा जो मोहब्बत का भरम तोड़ गया
मैंने हर आरज़ू को दफ़्न कर दिया दिल में
वो दिल ही क्या जो मोहब्बत की कसम तोड़ गया
अपने खुशरंग जवाँ जिस्म का तोहफ़ा लेकर
मैंने एक ग़ैर की बाहों में ख़ुद को ढाल लिया
तू संग-ए-मील नहीं संग-ए-राह था शायद
बस इस ख़याल से हर इक क़दम संभाल लिया
ऐ मेरी जाँ तुझे गुज़िश्ता मोहब्बत की क़सम
मेरी हर याद जला दे मुझे भुला दे अब
मैं तेरे ख़्वाबों में बेदार हूँ सदियो से
मिटा दे मेरा तसव्वुर मुझे सुला दे अब
Jawaabe-Bewafa
Main maanti hoon tujhe mud ke na dekha lekin
Shabe-hijraa koi aasaan nahi thi mujhpar
Dabe-dabe se kadam meri buzdili na the
Rivaayato ki ek chataan rakhi thi mujhpar
Meri udaas hansi meri ghamzada aankhein
Mere chehre pe saje the kisi saza jaise
Mere haathon ki mehendi ki surkhiya thi azaab
Mere haathon mein tera khoon laga ho jaise
Jab bhi sajta tha mera ghar main saham jaati thi
Mere ujade hue is dil ko koi dekh na le
Chhupae phirti thi ghoonghat mein chashm-e-tar apne
Ke inme doobte saahil ko koi dekh na le
Maine aakhir use haasil-e-muqaddar samjha
Wo haadsa jo mohabbat ka bharam tod gaya
Maine har aarzoo ko dafn kar diya dil mein
Wo dil hi kya jo mohabbat ki kasam tod gaya
Apne khushrang jawaa jism ka tohfa lekar
Maine ek ghair ki baahon mein khud ko dhaal liya
Tu sang-e-meel nahi sang-e-raah tha shayad
Bas is khayaal se har ik kadam sambhaal liya
Ae meri jaa tujhe guzishta mohabbat ki kasam
Meri har yaad jala de mujhe bhula de ab
Main tere khwaab mein bedaar hoon sadeeyo se
Mita de mera tasavvur mujhe sula de ab
0 Comments:
Post a Comment