अजीब दिन
बड़े अजीब गुज़रते हैं आजकल ये दिन
सुबह को उठता हूँ तो नींद ज़िद नहीं करती
रात को चैन आ जाता हैं एक लम्हे में
भूख लगती हैं और वक़्त पे खा लेता हूँ
उदास होते ही खुद को हँसा भी देता हूँ
होंठ पे ज़ख्म सजे रहते हैं तबस्सुम के
ज़बीं से माज़ी की शिकन भी मिटती जाती हैं
मुतमईन हैं मेरे चराग़ की बुझती शम'ए
मुतमईन हैं लिबासो पर लगा ये गर्दे-सफ़र
न कोई इंतज़ार हैं न कोई आरज़ू हैं
न कोई पेश-क़दमी न ही कोई जुस्तजू हैं
मेरे क़दम न भुला दे वो भटकने का फन
भीड़ का साथ रास आ गया हैं शायद अब
भीड़ से आगे निकलना मैं नहीं चाहता हूँ
वक़्त की रेत फिसली जा रही हैं हाथों से
और मुट्ठी को मैं कसना भी नहीं चाहता हूँ
मुझे तन्हाइयो से कुछ शिकायते न थी
हर इक लम्हा तेरा गम साथ-साथ रहता था
जो तेरा ग़म नहीं तो और भी तन्हा हूँ मैं
बड़े अजीब गुज़रते हैं आजकल ये दिन।
Ajeeb Din
Bade ajeeb guzarte hain aajkal ye din
Subah ko uthta hoon to neend zidd nahi karti
Raat ko chain aa jaata hain ek lamhe mein
Bhookh lagti hain aur waqt pe kha leta hoon
Udaas hote hi khud ko hasaa bhi deta hoon
Honth pe zakhm saje rahte hain tabassum ke
Zabeen se maazi ki shikan bhi mitti jaati hain
Mutmain hain mere charaag ki bujhti sham'e
Mutmain hain libaaso par laga ye garde-safar
Na koi intazaar hain na koi aarzoo hain
Na koi pesh-kadmi na hi koi justajoo hain
Mere kadam na bhula de wo bhatakne ka fan
Bheed ka saath raas aa gaya hain shayad ab
Bheed se aage nikalna main nahi chaahta hoon
Waqt ki ret phisli jaa rahi hain haathon se
Aur mutthi ko main kasna bhi nahi chaahta hoon
Mujhe tanhaaiyo se kuch shikaayate na thi
Har ik lamha tera gam saath-saath rahta tha
Jo tera gam nahi to aur bhi tanha hoon main
Bade ajeeb guzarte hain aajkal ye din.
December 22, 2010
December 20, 2010
Nazm: Tere Khwaab
तेरे ख़्वाब
जिस रात तेरा ख़्वाब देखता हूँ
सहर की लाश
शाम की मज़ार तक घसीटता हूँ।
अलावो में ज़रा नमी रहती हैं सुबह-सुबह
निगाहों की नींद जिद्दी रहती हैं सुबह-सुबह
तेरे जिस्म की हरारत की कमी रहती हैं सुबह-सुबह
दिन भर लोग पूछते हैं ज़र्द चेहरे का सबब
मेरे होठों पे जमी उदास लकीरों का सबब
मेरी आवाज़ में दबी हुई आहों का सबब
दिल जो पैमाना हैं तो
ग़म से छलकता क्यूँ नहीं
आँखों में बिखरे तेरे
अक्स के किरचे सिमटते क्यूँ नहीं
क़फ़स-ए-माज़ी की ज़ंजीरो के
पेचो ख़म सुलझते क्यूँ नहीं
कितनी रातें गुज़ारूंगा मैं और
तेरी बाहों के तसव्वुर में
कितनी सहर उठूँगा मैं और
तेरे ख्वाबो के सराबो से निकल के
कितने दिन और बिताऊंगा मैं
शहरे-तमाशाई में तन्हा जी के
अब के जो ख़्वाबो में आये तू तो
तेरे हाथों से इक ख़ंजर
मेरे सीने के पार कर देना
तेरी आवाज़ में मेरे नाम का
फातिहा पढ़ देना, के
कल का खुर्शीद अपने कंधो पर
एक सहर को मुकम्मल कर दे
और मेरी लाश उठा ले जाए।
Tere Khwaab
Jis raat tera khwaab dekhta hoon
sahar ki laash
shaam ki mazaar tak ghaseetta hoon.
Alaao mein namee rahti hain subah-subah
Nigaaho ki neend ziddi rahti hain subah-subah
Tere jism ki haraarat ki kamee rahti hain subah-subah
Din bhar log poochhte hain zard chehre ka sabab
Mere hothon pe jami udaas lakeero ka sabab
Meri aawaaz mein dabi hui aaho ka sabab
Dil jo paimaana hain to
gham se chalakta kyun nahi
Aankhon mein bikhare tere
aks ke kirche simatte kyun nahi
Qafas-e-maazi ki zanjeero ke
pecho kham sulajhte kyun nahi
Kitni raatein guzaarunga main aur
teri baahon ke tasavvur mein
Kitni sahar uthunga main aur
tere khwaabo ke saraabo se nikal ke
Kitne din aur guzaarunga main
shahre-tamaashaai mein tanha jee ke
Ab ke jo khwaabo mein aaye tu to
Tere haathon se ik khanjar
mere seene ke paar kar dena
Teri aawaaz mein mere naam ka
faatiha padh dena ke
Kal ka khursheed apne kaandho par
Ek sahar ko mukammal kar de
aur meri laash utha le jaaye.
जिस रात तेरा ख़्वाब देखता हूँ
सहर की लाश
शाम की मज़ार तक घसीटता हूँ।
अलावो में ज़रा नमी रहती हैं सुबह-सुबह
निगाहों की नींद जिद्दी रहती हैं सुबह-सुबह
तेरे जिस्म की हरारत की कमी रहती हैं सुबह-सुबह
दिन भर लोग पूछते हैं ज़र्द चेहरे का सबब
मेरे होठों पे जमी उदास लकीरों का सबब
मेरी आवाज़ में दबी हुई आहों का सबब
दिल जो पैमाना हैं तो
ग़म से छलकता क्यूँ नहीं
आँखों में बिखरे तेरे
अक्स के किरचे सिमटते क्यूँ नहीं
क़फ़स-ए-माज़ी की ज़ंजीरो के
पेचो ख़म सुलझते क्यूँ नहीं
कितनी रातें गुज़ारूंगा मैं और
तेरी बाहों के तसव्वुर में
कितनी सहर उठूँगा मैं और
तेरे ख्वाबो के सराबो से निकल के
कितने दिन और बिताऊंगा मैं
शहरे-तमाशाई में तन्हा जी के
अब के जो ख़्वाबो में आये तू तो
तेरे हाथों से इक ख़ंजर
मेरे सीने के पार कर देना
तेरी आवाज़ में मेरे नाम का
फातिहा पढ़ देना, के
कल का खुर्शीद अपने कंधो पर
एक सहर को मुकम्मल कर दे
और मेरी लाश उठा ले जाए।
Tere Khwaab
Jis raat tera khwaab dekhta hoon
sahar ki laash
shaam ki mazaar tak ghaseetta hoon.
Alaao mein namee rahti hain subah-subah
Nigaaho ki neend ziddi rahti hain subah-subah
Tere jism ki haraarat ki kamee rahti hain subah-subah
Din bhar log poochhte hain zard chehre ka sabab
Mere hothon pe jami udaas lakeero ka sabab
Meri aawaaz mein dabi hui aaho ka sabab
Dil jo paimaana hain to
gham se chalakta kyun nahi
Aankhon mein bikhare tere
aks ke kirche simatte kyun nahi
Qafas-e-maazi ki zanjeero ke
pecho kham sulajhte kyun nahi
Kitni raatein guzaarunga main aur
teri baahon ke tasavvur mein
Kitni sahar uthunga main aur
tere khwaabo ke saraabo se nikal ke
Kitne din aur guzaarunga main
shahre-tamaashaai mein tanha jee ke
Ab ke jo khwaabo mein aaye tu to
Tere haathon se ik khanjar
mere seene ke paar kar dena
Teri aawaaz mein mere naam ka
faatiha padh dena ke
Kal ka khursheed apne kaandho par
Ek sahar ko mukammal kar de
aur meri laash utha le jaaye.
December 18, 2010
Nazm: Faraar
फ़रार
अपने ख़्वाबो के खयाबानो में
सोचा करता हूँ
के अगर इक रात घर से भाग जाते
तो ज़िन्दगी की ये तस्वीर
कितने अलग रंगों से भरी होती आज।
दिन-रात सुबह-शाम दोस्त-यार घर-बार
सब अलग होते।
सोचता हूँ
आज जाने किस शहर में घर होता अपना
कौनसा कमरा कौनसे रंग का होता
भगवानो-खुदाओ की तस्वीर कहा लगी होती
किस वक़्त टीवी पर कौनसा चैनल देखते हम
जाने तुम क्या पका के खिलाती मुझे अपने हाथों से
जाने मैं क्या कहता गर नमक-मिर्च कम होता।
सोचता हूँ आज
कौनसे रंग के कपडे खिलते तुम पर
कौनसे फूल सजाता तुम्हारे बालो में
कौनसे गहने तुम्हे जन्मदिनो पे देता मैं
कौनसे होटलो में ले जाता सालगिरहो पर।
सोचता हूँ बारहा
गर बेटी होती तो तुम जैसे खिलखिला के हंसती वो
गर बेटी होती तो तुम जैसी आँखें होती उसकी
गर बेटी होती तो क्या तुम्हारा बचपन देखता मैं उसमे?
सोचता हूँ आज
तो इस सोच की अँधेरी खाई में डूबा चला जाता हूँ
किसी तरह मना लेते ज़माने को
गर कोशिश की होती, गर ज़िद पे अड़ जाते
रस्मो की दीवार ही तो तोड़नी थी हमे
अपने ख़ुशी के घर की तामीर के लिए।
मगर अपनी हकीकत के बयाबानो में
लौट आता हूँ तो
ज़हन में बस कुछ-एक
सवालों के कांटे चुभते हैं।
कौन से घर में रहती होगी अब तुम?
तुम्हारे शौहर का नाम क्या होगा?
तुम्हारी बेटी का नाम क्या होगा?
Faraar
Apne khwaabo ke khayabaano mein
Socha karta hoon
ke agar ik raat ghar se bhaag jaate
to zindagi ki ye tasveer
kitne alag rango se bhari hoti aaj
din-raat subah-shaam dost-yaar ghar-baar
sab alag hote.
Sochta hoon
aaj jaane kis shahar mein ghar hota apna
kaunsa kamra kaunse rang ka hota
bhagwaano khudaao ki tasveer kaha lagi hoti
kis waqt tv par kaunsa channel dekhte hum
jaane tum kya paka ke khilaati mujhe haathon se
jaane main kya kahta gar namak-mirch kam hota
Sochta hoon aaj
kaunse rang ke kapde bahut fabte tum par
kaunse phool sajaata tumhare baalo mein
kaunsa gahne tumhe janmdino pe deta main
kaunse hotelo mein le jaata saalgiraho par
Sochta hoon baaraha
gar beti hoti to tum jaise khilkhila ke hansti wo
gar beti hoti to tum jaisi aankhein hoti uski
gar beti hoti to kya tumhara bachpan dekhta main usme
Sochta hoon aaj
to iss soch ki andheri khaai mein dooba chala jaata hoon
kisi tarah mana lete zamaane ko
gar koshish ki hoti, gar zidd pe ad jaate
rasmo ki deewaar hi to todni thi hume
apne khushi ke ghar ki taameer ke liye.
Magar apni haqeeqat ke bayabaano mein
laut aata hoon to
zahan mein bas kuch-ek
sawaalo ke kaante chubhte hain.
Kaun se ghar mein rehti hogi ab tum?
Tumhare shauhar ka naam kya hoga
Tumhari beti ka naam kya hoga?
अपने ख़्वाबो के खयाबानो में
सोचा करता हूँ
के अगर इक रात घर से भाग जाते
तो ज़िन्दगी की ये तस्वीर
कितने अलग रंगों से भरी होती आज।
दिन-रात सुबह-शाम दोस्त-यार घर-बार
सब अलग होते।
सोचता हूँ
आज जाने किस शहर में घर होता अपना
कौनसा कमरा कौनसे रंग का होता
भगवानो-खुदाओ की तस्वीर कहा लगी होती
किस वक़्त टीवी पर कौनसा चैनल देखते हम
जाने तुम क्या पका के खिलाती मुझे अपने हाथों से
जाने मैं क्या कहता गर नमक-मिर्च कम होता।
सोचता हूँ आज
कौनसे रंग के कपडे खिलते तुम पर
कौनसे फूल सजाता तुम्हारे बालो में
कौनसे गहने तुम्हे जन्मदिनो पे देता मैं
कौनसे होटलो में ले जाता सालगिरहो पर।
सोचता हूँ बारहा
गर बेटी होती तो तुम जैसे खिलखिला के हंसती वो
गर बेटी होती तो तुम जैसी आँखें होती उसकी
गर बेटी होती तो क्या तुम्हारा बचपन देखता मैं उसमे?
सोचता हूँ आज
तो इस सोच की अँधेरी खाई में डूबा चला जाता हूँ
किसी तरह मना लेते ज़माने को
गर कोशिश की होती, गर ज़िद पे अड़ जाते
रस्मो की दीवार ही तो तोड़नी थी हमे
अपने ख़ुशी के घर की तामीर के लिए।
मगर अपनी हकीकत के बयाबानो में
लौट आता हूँ तो
ज़हन में बस कुछ-एक
सवालों के कांटे चुभते हैं।
कौन से घर में रहती होगी अब तुम?
तुम्हारे शौहर का नाम क्या होगा?
तुम्हारी बेटी का नाम क्या होगा?
Faraar
Apne khwaabo ke khayabaano mein
Socha karta hoon
ke agar ik raat ghar se bhaag jaate
to zindagi ki ye tasveer
kitne alag rango se bhari hoti aaj
din-raat subah-shaam dost-yaar ghar-baar
sab alag hote.
Sochta hoon
aaj jaane kis shahar mein ghar hota apna
kaunsa kamra kaunse rang ka hota
bhagwaano khudaao ki tasveer kaha lagi hoti
kis waqt tv par kaunsa channel dekhte hum
jaane tum kya paka ke khilaati mujhe haathon se
jaane main kya kahta gar namak-mirch kam hota
Sochta hoon aaj
kaunse rang ke kapde bahut fabte tum par
kaunse phool sajaata tumhare baalo mein
kaunsa gahne tumhe janmdino pe deta main
kaunse hotelo mein le jaata saalgiraho par
Sochta hoon baaraha
gar beti hoti to tum jaise khilkhila ke hansti wo
gar beti hoti to tum jaisi aankhein hoti uski
gar beti hoti to kya tumhara bachpan dekhta main usme
Sochta hoon aaj
to iss soch ki andheri khaai mein dooba chala jaata hoon
kisi tarah mana lete zamaane ko
gar koshish ki hoti, gar zidd pe ad jaate
rasmo ki deewaar hi to todni thi hume
apne khushi ke ghar ki taameer ke liye.
Magar apni haqeeqat ke bayabaano mein
laut aata hoon to
zahan mein bas kuch-ek
sawaalo ke kaante chubhte hain.
Kaun se ghar mein rehti hogi ab tum?
Tumhare shauhar ka naam kya hoga
Tumhari beti ka naam kya hoga?
December 17, 2010
Uns
Written as a song-writing exercise by repeating a small tune I picked up in some song I heard in the car drive from Indore to Mumbai. Imagined a situation where the hero and the heroine are in a mushy-mushy situation (now please don't ask me what that means!). It has ended up in such horrible tukbandi that this so-called song now only has the potential be sold to a B-grade movie producer where the star cast might be a sleazily dressed young woman and Shakti Kapoor. :-(
उन्स
उन्स हैं ये
या हैं आदत
इश्क़ हैं ये
या इबादत
आ ज़रा नज़दीक
आ तू
मेरी प्यासों को
मिटा तू
तेरे होठों से ये साँसे
मेरे होठों को जला दे
*
रातें जागी ये निगाहें
राहें तकती ये निगाहें
साँस चलती हैं संभल के
सर्द इतनी हैं ये आहें
मेरे ख़्वाबो के महल में
तू कदम जो ले के आये
तेरे होठों की ये साँसे
मेरे होंठो को जला दे
*
होठो की ये मुस्कराहट
दिल्लगी हैं या शरारत
धडकनों से सुर मिलाती
तेरे कदमो की ये आहट
छू ले चाहे जो तू चाहे
छू के अपनी शै बना ले
तेरे होठों की ये साँसे
मेरे होंठो को जला दे
Uns
Uns hain ye
ya hain aadat,
ishq hain ye
ya ibaadat,
aa zara nazdeek
aa tu,
meri pyaaso ko
mita tu,
tere hothon se ye saanse,
mere hothon ko jalaa de,
*
Raatein jaagi ye nigaahe,
Raahein takti ye nigaahe,
Saans chalti hain sambhal ke,
Sard itni hain ye aahein,
Mere khwaabo ke mahal me,
Tu kadam jo le ke aaye,
Tere hothon ki ye saanse,
mere hontho ko jala de,
*
Hotho ki ye muskurahat,
Dillagi hain ya sharaarat,
Dhadkano se sur milaati,
Tere kadmo ki ye aahat,
Chhoo le chaahe jo tu chaahe,
Chhoo ke apni shai bana le,
Tere hothon ki ye saanse,
mere hontho ko jala de,
December 16, 2010
Nazm: Bemisaal Taara
नज़्म: बेमिसाल तारा
ऐ चाँद तू यूँ मगरूर न हो,
तू चौदह दिन तक चढ़ता हैं
और चौदह दिन फिर उतरता हैं
बस एक ही रात है जिस दिन तू
तसव्वुर-ए-चाँद सा खिलता है।
माहताब तू यूँ मगरूर न हो,
तू अक्स-ए-आफताब हैं बस।
तारो की भले चका-चौंध नहीं,
हर रात शमा से जलते हैं,
पारे के टुकड़े हैं तारे,
रेज़ा-रेज़ा बिखरे सारे,
एक दिन सब तारे साथ में घुल,
एक बेमिसाल तारा बन जाएँगे,
खुर्शीद से रौशन हो जाएँगे,
तुझ से लाख हसीं हो जाएँगे।
उस दिन ऐ चाँद तू चाँदी का
खोटा सिक्का रह जाएगा,
तारो से बना वो नज़ारा-सोज़ तारा,
आसमाँ की शान कहलाएगा।
Nazm: Bemisaal Taara
Ae chaand tu yun maghroor na ho,
Tu chaudah din tak chadhta hain,
Aur chaudah din phir utarta hain,
Bas ek hi raat hai jis din tu,
tasavvur-e-chaand sa khilta hai,
Maahtaab tu yun maghroor na ho,
Tu aks-e-aaftaab hain bas.
Taaro ki bhale chaka-chaundh nahi,
Har raat shama se jalte hain,
Paare ke tukde hain taare,
Reza-reza bikhare saare,
Ek din sab taare saath mein ghul,
Ek bemisaal taara ban jaenge,
Khursheed se raushan ho jaenge,
Tujh se laakh hasee ho jaenge.
Us din ae chaand tu chaandi ka
khota sikka rah jaega,
Taaro se bana wo nazaara-soz taara,
Aasmaan ki shaan kahlaega.
ऐ चाँद तू यूँ मगरूर न हो,
तू चौदह दिन तक चढ़ता हैं
और चौदह दिन फिर उतरता हैं
बस एक ही रात है जिस दिन तू
तसव्वुर-ए-चाँद सा खिलता है।
माहताब तू यूँ मगरूर न हो,
तू अक्स-ए-आफताब हैं बस।
तारो की भले चका-चौंध नहीं,
हर रात शमा से जलते हैं,
पारे के टुकड़े हैं तारे,
रेज़ा-रेज़ा बिखरे सारे,
एक दिन सब तारे साथ में घुल,
एक बेमिसाल तारा बन जाएँगे,
खुर्शीद से रौशन हो जाएँगे,
तुझ से लाख हसीं हो जाएँगे।
उस दिन ऐ चाँद तू चाँदी का
खोटा सिक्का रह जाएगा,
तारो से बना वो नज़ारा-सोज़ तारा,
आसमाँ की शान कहलाएगा।
Nazm: Bemisaal Taara
Ae chaand tu yun maghroor na ho,
Tu chaudah din tak chadhta hain,
Aur chaudah din phir utarta hain,
Bas ek hi raat hai jis din tu,
tasavvur-e-chaand sa khilta hai,
Maahtaab tu yun maghroor na ho,
Tu aks-e-aaftaab hain bas.
Taaro ki bhale chaka-chaundh nahi,
Har raat shama se jalte hain,
Paare ke tukde hain taare,
Reza-reza bikhare saare,
Ek din sab taare saath mein ghul,
Ek bemisaal taara ban jaenge,
Khursheed se raushan ho jaenge,
Tujh se laakh hasee ho jaenge.
Us din ae chaand tu chaandi ka
khota sikka rah jaega,
Taaro se bana wo nazaara-soz taara,
Aasmaan ki shaan kahlaega.
December 8, 2010
Nazm: Bhai Ke Liye Dua
नज़्म: भाई के लिए दुआ
कल रात ख़ुदा से मैंने
दुआ भाई के लिए माँगी
माँगा उसे हर शै मिले जो
मिरे दामने-नसीब में न थी
उसे एक ख़ूबसूरत चेहरा दे
उसकी आँखों में रौशनी भर दे
उसे जीने की इक तमन्ना दे
हर इक लम्हे में एक ख़ुशी भर दे
उसे अज़मत उसे हुनर दे-दे
मेरी बाकी रही उमर दे-दे
दौलते दे उसे और चाहते-दौलत भी दे
जवानी दे उसे और शम्से-मोहब्बत भी दे
उसे मेरी तरह बुज़दिल तो मत बनाना ख़ुदा
उसकी राहों में कामयाबिया सजाना ख़ुदा
उसे तालीम मुझसे ज्यादा हो
उसमे कोई ऐब न निकले मुझ-से
उसकी शोहरत चमकता सोना हो
दूर रुस्वाईया रहे उससे
मेरा तो क्या हैं मैं भटका हुआ मुसाफिर हूँ
हैं गर्द-गर्द राहें मंज़िलो से गाफिल हूँ
मेरी ज़बां में तल्खियो ने घर बसाया हैं
मेरा नसीब बद्दुआओ का हमसाया हैं
मगर वो मुझसे बहुत पाक़ हैं अलग भी हैं
उसे ये ज़ीस्त सलीक़े से गुज़र करनी हैं
उसे मेरी तरह न दर-ब-दर भटकना हैं
उसे फलक पे उड़ना हैं सितारे चुनना हैं
ख़ुदा कबूलनी तो होगी ये दुआ तुझको
तेरे हर ज़ुल्म को चुपचाप सहा हैं मैंने
मेरा भाई मेरी खोई हुई जवानी जिये
ये ख्व़ाब सारी जवानी सजाया हैं मैंने।
Nazm: Bhai Ke Liye Dua
Kal raat khuda se maine
Dua bhai ke liye maangi
Maanga use har shae mile jo
Mire daaman-naseeb mein na thi
Use ek khoobsoorat chehra de
Uski aankhon mein raushni bhar de
Use jeene ki ik tamanna de
Har ik lamhe mein ek khushi bhar de
Use azmat use hunar de de
Meri baaki rahi umar de-de
Daulate de use aur chaahate-daulat bhi de
Jawaani de use aur shamse-mohabbat bhi de
Use meri tarah buzdil to mat banana khuda
Uski raahon mein kaamyaabiya sajaana khuda
Use taaleem mujhse zyada ho
Usme koi aeb na nikale mujh-se
Uski shohrat chamakta sona ho
Door ruswaaiya rahe usse
Mera to kya hain main bhatka hua musaafir hoon
Hain gard-gard raahein manzilo se gaafil hoon
Meri zabaan mein talkhiyo ne ghar basaya hain
Mera naseeb badduaon ka humsaaya hain
Magar wo mujhse bahut paak hain alag bhi hain
Use ye zeest saleeke se guzar karni hain
Use meri tarah na dar-ba-dar bhatakna hain
Use falak pe udna hain sitaare chunna hain
Khuda kaboolni to hogi ye dua tujhko
Tere har zulm ko chupchaap saha hain maine
Mera bhai meri khoyi hui jawaani jiye
Ye khwaab saari jawaani sajaaya hain maine
कल रात ख़ुदा से मैंने
दुआ भाई के लिए माँगी
माँगा उसे हर शै मिले जो
मिरे दामने-नसीब में न थी
उसे एक ख़ूबसूरत चेहरा दे
उसकी आँखों में रौशनी भर दे
उसे जीने की इक तमन्ना दे
हर इक लम्हे में एक ख़ुशी भर दे
उसे अज़मत उसे हुनर दे-दे
मेरी बाकी रही उमर दे-दे
दौलते दे उसे और चाहते-दौलत भी दे
जवानी दे उसे और शम्से-मोहब्बत भी दे
उसे मेरी तरह बुज़दिल तो मत बनाना ख़ुदा
उसकी राहों में कामयाबिया सजाना ख़ुदा
उसे तालीम मुझसे ज्यादा हो
उसमे कोई ऐब न निकले मुझ-से
उसकी शोहरत चमकता सोना हो
दूर रुस्वाईया रहे उससे
मेरा तो क्या हैं मैं भटका हुआ मुसाफिर हूँ
हैं गर्द-गर्द राहें मंज़िलो से गाफिल हूँ
मेरी ज़बां में तल्खियो ने घर बसाया हैं
मेरा नसीब बद्दुआओ का हमसाया हैं
मगर वो मुझसे बहुत पाक़ हैं अलग भी हैं
उसे ये ज़ीस्त सलीक़े से गुज़र करनी हैं
उसे मेरी तरह न दर-ब-दर भटकना हैं
उसे फलक पे उड़ना हैं सितारे चुनना हैं
ख़ुदा कबूलनी तो होगी ये दुआ तुझको
तेरे हर ज़ुल्म को चुपचाप सहा हैं मैंने
मेरा भाई मेरी खोई हुई जवानी जिये
ये ख्व़ाब सारी जवानी सजाया हैं मैंने।
Nazm: Bhai Ke Liye Dua
Kal raat khuda se maine
Dua bhai ke liye maangi
Maanga use har shae mile jo
Mire daaman-naseeb mein na thi
Use ek khoobsoorat chehra de
Uski aankhon mein raushni bhar de
Use jeene ki ik tamanna de
Har ik lamhe mein ek khushi bhar de
Use azmat use hunar de de
Meri baaki rahi umar de-de
Daulate de use aur chaahate-daulat bhi de
Jawaani de use aur shamse-mohabbat bhi de
Use meri tarah buzdil to mat banana khuda
Uski raahon mein kaamyaabiya sajaana khuda
Use taaleem mujhse zyada ho
Usme koi aeb na nikale mujh-se
Uski shohrat chamakta sona ho
Door ruswaaiya rahe usse
Mera to kya hain main bhatka hua musaafir hoon
Hain gard-gard raahein manzilo se gaafil hoon
Meri zabaan mein talkhiyo ne ghar basaya hain
Mera naseeb badduaon ka humsaaya hain
Magar wo mujhse bahut paak hain alag bhi hain
Use ye zeest saleeke se guzar karni hain
Use meri tarah na dar-ba-dar bhatakna hain
Use falak pe udna hain sitaare chunna hain
Khuda kaboolni to hogi ye dua tujhko
Tere har zulm ko chupchaap saha hain maine
Mera bhai meri khoyi hui jawaani jiye
Ye khwaab saari jawaani sajaaya hain maine
Subscribe to:
Posts (Atom)