May 16, 2010

Nazm: Be-ilm Shaayar

बेइल्म शायर

हम ग़लत कुछ शेर कह के
बाग़ियों में आ गए।

बहरो से की बेईमानी
क़ाफियो की इक न मानी
जोड़े-तोड़े लफ़्ज़ सारे
और सब मानी गुमानी

इल्म-इ-उर्दू था न हमको
लोग ये बतला गए
हम ग़लत कुछ शेर कह के
बाग़ियों में आ गए।

शायरी, हमको गुमाँ था
लिखने को लफ़्ज़-ए-फुगाँ था
पर जो काग़ज़ कोरा देखा
कलम का मुँह बेज़बाँ था

ज़िन्दगी, नादाँ थे तेरी
बातों में हम आ गए
हम ग़लत कुछ शेर कह के
बाग़ियों में आ गए।


Be-ilm Shaayar

Hum ghalat kuch sher keh ke
baaghiyo mein aa gaye

Bahro se ki be-imaani
qaafiyo ki ik na maani
jode-tode lafz saare
aur sab maani gumaani

Ilm-e-Urdu tha na humko
log ye batla gaye
Hum ghalat kuch sher keh ke
baaghiyo mein aa gaye

Shaayari, humko gumaa tha
likhne ko lafz-e-fughaa tha
par jo kaaghaz kora dekha
kalam ka muh bezabaa tha

Zindagi, naadaa the teri
baaton mein hum aa gaye
Hum ghalat kuch sher keh ke
baaghiyon me aa gaye.

May 9, 2010

Tanhayee...Naye Hi Rang Dikhaaye Hain

I've been meaning to write a typical Hindi-film song since months now. I finally end up with one.


तन्हाई...नए ही रंग दिखाए हैं

दिल की उदासी
और वीरानी
आँखें मेरी
पानी-पानी
डूब रहे हैं
दरिया-दरिया
सागर सारे
हैं तूफानी

बाद तेरे मैं जिससे मिला मुझको न रास आया
रूठा जो सफीना फिर न कभी साहिल के पास आया

तन्हाई
नये ही रंग दिखाए हैं
डसती हैं
और डसती ही जाए हैं।

*

हर रात दीवारे
मैं बस दीवारे तकता हूँ
जो आँख लगे तो
मैं डर के, चौंक के उठता हूँ

तेरे ही लिए दुनिया थी सजाई तूने उजाड़ी हैं
हँसती-सी हुई तस्वीर पे कालिख़ तूने लगाई हैं

अब मेरी
सभी ख्वाहिश्शे रुलाए हैं
तन्हाई
नये ही रंग दिखाए हैं।

*

अन्जान शहर में,
शहर में दर-दर फिरता हूँ
आँसू की लिखावट
न पढ़ ले कोई डरता हूँ

हैं ख़ुल्द जो इस दुनिया में अगर तो मुझको दिखाई दे
हैं इस दोज़ख के पार जहाँ तो मुझको रिहाई दे

घर मेरा
न रस्ता मुझको बताए हैं
तन्हाई
नये ही रंग दिखाए हैं।


Tanhayee...Naye Hi Rang Dikhaaye Hain

Dil ki udaasi,
aur veeraani,
aankhen meri,
paani-paani
doob rahe hain
dariya-dariya
saagar saare
hain toofaani

Baad tere main jisse mila mujhko na raas aaya
rootha jo safeena phir na kabhi saahil ke paas aaya

Tanhayee,
naye hi rang dikhaaye hain
Dasti hain
aur dasti hi jaaye hain

*

Har raat deewaare
main bas deeware takta hoon
jo aankh lage to
main darr ke, chaunk ke uthta hoon,

Tere hi liye duniya thi sajaayi tune ujaadi hain
hasti-si hui tasveer pe kaalikh tune lagaayi hain

Ab meri,
sabhi khwaahishshe rulaaye hain
Tanhayee,
naye hi rang dikhaaye hain

*

Anjaan shahar mein,
shahar mein dar-dar phirta hoon
Aansoo ki likhawat
na padh le koi darta hoon

Hain khuld jo iss duniya mein agar to mujhko dikhaayi de
Hain iss dozakh ke paar jahaa to mujhko rihaai de

Ghar mera
Na rasta mujhko bataaye hain
Tanhayee
naye hi rang dikhaaye hain