March 24, 2010
Nazm: Gunaahe-Masjid
मेरा गुनाह शायद यह था के
मैं सदियों पुराने एक मंदिर और
एक मगरूर शहंशाह की नाजायज़ औलाद थी।
आज सोलह बरस बाद
मेरी मौत की सुनवाई ख़त्म हुई हैं
मेरे कातिलो को सज़ा तो नहीं हुई मगर
उन्हें दबी-सी आवाज़ में
गुनाहगार ठहराया गया हैं।
मेरी रूह की तसल्ली के लिए शायद।
मुझे याद हैं मेरे आँगन का ठंडा शीरी पानी
मुसलमान ज़मज़म की तरह पीते थे
और हिन्दू अमृत की तरह,
मुझे याद हैं मेरे फर्श पर नमाज़े पढ़ी जाती थी
और चबूतरे पर आरतिया की जाती थी।
उन दिनों मगर मैंने ये तसव्वुर न किया था
के मेरी ज़िन्दगी के आखिरी चंद रोज़
मेरे सीने पे इक ताला होगा और
अखबारों में रुसवाई।
ख़ुदा माफ़ करे मेरे लफ्ज़ो को मगर,
गज़ब का दिन था शहादत का दिन जो था मेरा,
लाख़ लोगो का जुलूस आया था मेरे आँगन
केसरी रँग था आवाम का मेरे आँगन
कोई नेज़े कोई हथौड़े कोई तलवार लिए,
कोई बस राम! राम! राम! की हुँकार लिए।
एक बेनाम-सी मस्जिद को गिरा कर, दुनिया,
तुने सदियों पुरानी ग़लतिया नहीं धोयी,
एक बंजर-सी ज़मी खाली कर के ऐ दुनिया,
फ़क़त गुबारे-रंज में हैं नफरते बोई।
मेरी क़ब्र की सुनसान ज़मीं पर आज भी
रखे हुए ईंट के बीजो से
मेरे कातिलो की इमारत नहीं उगी।
आज सोलह बरस बाद
मेरी मौत की सुनवाई ख़त्म हुई हैं
और मेरा गुनाह शायद यह था के
मैं सदियों पुराने एक मंदिर और
एक मगरूर शहंशाह की नाजायज़ औलाद थी।
Gunaahe-Masjid
Mera gunaah shaayad yeh tha ke
Main sadiyon puraane ek mandir aur
ek maghroor shahanshah ki naajayaz aulaad thi.
Aaj solah baras baad
Meri maut ki sunwaayi khatm hui hain
Mere qaatilo ko saza to nahi hui magar
Unhe dabi-si aawaaz mein
Gunahgaar thehraaya gaya hain.
Meri rooh ki tasalli ke liye shayad.
Mujhe yaad hain mere aangan ka thanda sheeri paani
Musalmaan zamzam ki tarah peete the
Aur Hindu amrat ki tarah,
Mujhe yaad hain mere farsh par namaaze padhi jaati thi
Aur chabootare par aartiya ki jaati thi,
Un dino magar maine ye tasavvur na kiya tha
Ke meri zindagi ke aakhiri chand roz
Mere seene pe ik taala hoga aur
Akhbaaro mein ruswaayi.
Khuda maaf kare mere lafzo ko magar,
Gazab ka din tha shahaadat ka din jo tha mera,
Laakh logo ka juloos aaya tha mere aangan
Kesari rang tha aawaam ka mere aangan
Koi neze koi hathaude koi talwaar liye,
Koi bas Ram Raam raam ki hunkaar liye
Ek benaam-si masjid ko gira kar, duniya,
Tune sadiyon puraani ghaltiya nahi dhoyi,
Ek banjar-si zamee khaali kar ke ae duniya,
Faqat gubaare-ranj mein hain nafrate boyi.
Meri kabr ki sunsaan zamee par aaj bhi
Rakhe hue eent ke beejo se
Mere qaatilo ki imaarat nahi ugi.
Aaj solah baras baad
Meri maut ki sunwaayi khatm hui hain
Aur mera gunaah shaayad yeh tha ke
Main sadiyon puraane ek mandir aur
ek maghroor shahanshah ki naajayaz aulaad thi.
March 15, 2010
Nazm: Muntazir Shaayar
मुन्तज़िर शायर
सुना हैं मैंने के हर रात को बेदार रहता हैं,
वो बिस्तर से नहीं उठता हैं और बीमार रहता हैं,
सियाह खून की मौजूदगी हैं उसकी रगों में,
दवा कलाइयो से जा रही हैं उसकी रगों में,
सुना हैं अब वो बयाज़ो से मोहब्बत नहीं करता,
अपने लिक्खे हुए लफ्ज़ो की वजाहत नहीं करता,
कलम की नोंक में स्याही की पपडिया हैं जम गयी,
ज़हन में सारी ज़माने की तल्खिया हैं जम गयी,
सुना हैं मुद्दतो से तन्हा मुद्दतो से ख़्वार हैं,
सुना हैं मुद्दतो से उसको तेरा इंतज़ार हैं।
Muntazir Shaayar
Suna hain maine ke har raat ko bedaar rehta hain,
Wo bistar se nahi uthta hain aur beemaar rehta hain,
Siyaah khoon ki rawaangi hain uski raghon mein,
Dawa kalaaiyo se jaa rahi hain uski raghon mein,
Suna hain ab wo bayaazo se mohabbat nahi karta,
Apne likkhe hue lafzo ki wajaahat nahi karta,
Kalam ki nonk mein syaahi ki papdiya hain jam gayi,
Zahan mein saari zamaane ki talkhiya hain jam gayi,
Suna hain muddato se tanha muddato se khwaar hain,
Suna hain muddato se usko tera intezaar hain.